Structured Data Ya Schema Markup ki Paribhasha(Definition)
- Jab bhi kisi search engine me koi query karta hai , searh engine poore web ko crawl karta hai jisse us query se related search results mile.
- Search results ko aur jyada meaningful banane ke liye sabhi major search engines (Google, Bing, Yahoo etc.) ne ek sath milkar ek Labelling System Banaya.
- Is framework ya library ko Schema.org kehte hai aur uski coding ko schema markup ya structured data kehte hai.
- Jab bhi hum Schema Markup ke code ko apni website me use karte hain to hum search engines ki help karte hai apni website ke content ko better way me samajhne ke liye. Isliye SEO ke nazariye ye ye ek important step hai.
Structured Data Ya Schema Markup ke benefits
*Search Egine ko aapki site ke content ke bare me better understanding milti hai.
*Knowledge Graph ke saath braand ki presence mein sudhaar karta hai.
*CTR badhaane ke lie dhyaan aakarshit karane vaale parinaam praapt karne me help karta hai.
*Apki website ke ranking status ko sudharta hai .
*Ap google search result me seedhe Call to Action ko prapt kar sakte hain.
*Rich Results ki wajah se aapka brand search results me bikul alag dikhta hai.